Wednesday 15 October 2014

best collection of sad shayari

nahi karna anpe dard ko shayri me bayan, ~~ae dost
ye paththar ki duniya sirf wah wah karna janti h


Wohi hua na bicharne pe bat aa pahunchi
Usey kaha tha puraney hisab rahney de.


Log muntazir hi rahe humare toot jaane ke
Aur hum zabt karte karte pathar ke ho gaye.



Janey Aesi Bhi Kiya Dil Lagi Thi Tumse...
Mene Aakhri Khuwahish Me Bhi Tumhi Ko Maanga



Ab koi aaye chala jaye main khush rahta hun
Ab kisi shaks ki aadat nahi hoti mujhe.



Uska wadah bhi ajeeb tha ki zindagi bhar sath nibhayenge
Maine bhi yeh nahi pucha ke muhabbat ke sath ya yadon ke sath.



mat kiya karo apne dard ko shayri me bayan, ~~~afshos
log aur tut jate h tere har lafz ko apni dastan samajhkar,


Mujhe phir se school ka basta thama do na
Mujhe zindagi ke sabaq bahot mushkil lagte hain.




Seekh maujon se ulajh kar jeene ka shaoor
Sirf sahil se lipat jana zindagi nahi.



Hum toh nadan hain, kya samjh paynege usool - e - muhabbat
Bas usko chaha tha, usko chahte hain aur usko chahte raheinge.




Jo yaqeen ki raah per chal pade unhe manzilon ne panah di
Jinhe waswason ne dara diya woh qadam qadam per bahak gayein.



isse pehle mere hosh thikane lag jaye.......
aey khuda kash iss raat hume bhi unke bina nind aa jaye... 



Pochnay ki to mohlat hi na di usne
Wo lehja badalty gaye aur hum ajnabi hoty gaye.





Sun kar Tamam Raat Meri Dastan-e-Gham,

Wo Muskura k Bolay. Bohot Boltay Ho Tum..



1 comment:

  1. This is URDU poetry that emanates from the period of the great Mughals. Urdu has 75% farsi, in this case words like 'Faqat' and 15% Arabic, 5% Turkic and 5% others.

    ReplyDelete